Salatul tasbeeh namaz bahot hi fazeelat wali hai. pura tareeqa neeche diya gaya hai.
Salatul Tasbeeh Namaz Ka Tareeqa
Niyat karle ke 4 rakat namaz padhta hun main salatul tasbeeh ki phir takbeer keh kar sana padhne ke bad 15 martaba teesra kalma ‘سُبْحَانَ اللَّهِ وَالْحَمْدُ لِلَّهِ وَلاَ إِلَهَ إِلاَّ اللَّهُ وَاللَّهُ أَكْبَر‘ is kalme ko padhe.
Phir surah fatiha ke bad koi surah padhe phir 10 martaba teesra kalma padhe phir uske bad rukoo me jaye ruko ‘subhana rabbil aala’ ke bad phir teesra kalma 10 martaba padhe.
Rukoo se uthe bad ‘samiallahu limanhamida’ ke bad 10 martaba padhe phir sajde me jane ke bad subhanarabbialaala ke bad 10 martaba padhe sajde se uthne ke bad raboqfirli le bad 10 martaba padhe phir dusre sajde me subhanarabialaala ke bad 10 martaba padhe. is tarah se 75 martaba ek rakat me hota.
- Sana ke bad 15 martaba
- Suraha fatiha aour uske bad koi surah uske bad 10 martaba
- Rukoo me 10 martaba
- Rukoo se uthne ke bad 10 martaba
- Sajde me 10 martaba
- Sajde se uth kar jalse me 10 martaba
- Phir duse sajde me 10 martaba
- Is tarah ek rakat me 75 martaba padhna hai
Salatul Tasbeeh Namaz Time?
Huzoor sallahu alahi wa sallam ne apne apne chacha hazarat abbas rz ko taalim farmai thi aour farmaya tha ke hosake to is namaz ko rozana warna har jumma ko ya phir sal me ek bar ya phir zindagi me ek martaba to zaroor padhen.
Salatul tasbeeh ke fayede| benefites of sallatul tasbeeh
Is namaz ko padhne se insan ke saghera aour kabeera gunah maf ho jate hai.