Roza Rakhne Ki Dua: Aaj hum jaanenge ke Sehri karna aur Roza rakhna Islam mein kyun zaroori hai. Hamare mazhab Islam mein paanch ibadatein hain jo har Musalman par farz hain. Roza bhi unmein se ek hai, jo har Musalman mard aur aurat par farz hai. Waise to Roza farz bhi hai aur nafil bhi, lekin Allah Ta’ala ne Ramzan ke rozon ko farz qarar diya hai.
Roza rakhne ke liye hame sehri karni hoti hai jo rat ke aakhir hisse me ki jati hai. Sehri aur roza rakhne ki koi maqsoos dua nahi hai, magar aamaal ka daromadar niyat par hota hai. Phir bhi, kuch masnoon duaen hain jo padhi jati hain.
Sehri Karte Waqt Ki Dua

Sahri ki Dua hindi me

Sehri ek barkat wala amal hai, isliye agar bhook na bhi ho, to bhi sunnat par amal karte huwe kuch na kuch zaroor khana chahiye. Sehri ke waqt ziyada se ziyada duaen karni chahiye, kyunki yeh waqt qabooliyat ka hota hai. Is wajah se sehri khane se pehle ma’qool duaon ka ahtemam karna chahiye.
Agar kisi uzar ki wajah se roza nahi rakh rahe hain, tab bhi rozedaron ke sath shamil hona barkat hai. Sehri ke dauraan is baat ka bhi khayal rakhen ke pet bhar kar na khayen, balke thoda pet khali rakhen, taake ibadat me koi pareshani na ho aur roza asani se rakha ja sake.
Sehri Ki Sunnat or Hadees
- Rasoolullah ﷺ ne farmaya:
“Sehri khao, kyunki sehri mein barkat hai.” (Sahih Bukhari: 1923, Sahih Muslim: 1095) - Hazrat Amr bin Al-Aas Radi Allahu Anhu se rivayat hai ke Rasoolullah ﷺ ne farmaya:
“Hamare aur Ahl-e-Kitab ke rozon ka farq sehri khana hai.” (Sahih Muslim: 1096) - Rasoolullah ﷺ ne farmaya:
“Allah aur uske farishte sehri karne walon par rahmat bhejte hain.” (Musnad Ahmad: 11003) - Rasoolullah ﷺ ne farmaya:
“Sehri poori ki poori barkat hai. Bas tum na chhodo, chahe yahi ho ke tum paani ka ek ghoont pee lo.” (Musnad Ahmad: 11396) - Rasoolullah ﷺ ne farmaya:
“Khajoor momin ki behtareen sehri hai.” (Sunan Abu Dawood: 2345) - Rasoolullah ﷺ ne farmaya:
“Meri ummat hamesha khair par rahegi jab tak iftar mein jaldi karegi aur sehri mein ta’akhir karegi.” (Musnad Ahmad: 11396) - Hazrat Jabir Radi Allahu Anhu se rivayat hai ke:
“Ek dafa Ramzan mein Rasoolullah ﷺ ne mujhe apne sath sehri khane ke liye bulaya aur farmaya: ‘Aao mubarak nashtay ke liye.'” (Sunan Abu Dawood: 2344) - Rasoolullah ﷺ ne farmaya:
“Sehri ka khana barkat hai, isliye usko na chhoda karo, chahe paani ka ek ghoont hi pee lo.” (Musnad Ahmad: 11396) - Rasoolullah ﷺ ne farmaya:
“Teen aadmi, jitna bhi kha lein Insha’Allah unse koi hisaab na hoga:
1. Rozedaar iftar ke waqt
2. Sehri khane wala
3. Mujaahid, jo Allah ke raste mein sarhad-e-Islam ki hifazat kare.” (At-Targheeb Wat-Tarheeb: 2/90)
FAQ
Sehri karna kyun zaroori hai ?
Ramazan mubarak me roza rakhne ke liye sehri karna bahot zaroori hai. Sehri khana hamare piyare Nabi sallallahu alaihi wasallam ki sunnat hai.
Sehri kab ki jati hai?
Sehri rat ke akhir hisse me ki jati hai.
Roza rakhne ki dua konsi hai ?
وَبِصَوْمِ غَدٍ نَّوَيْتُ مِنْ شَهْرِ رَمَضَانَ
Sehri me kiya khana chahiye ?
Rasoolullah ﷺ ne farmaya:
“Khajoor momin ki behtareen sehri hai.” (Sunan Abu Dawood: 2345)