Roza Kholne Ki Dua – Iftar Ki Dua Hindi Me

Roza kholne ki dua: Roza rakhna har Musalman mard aur aurat par farz hai. Yeh 5 farz me se ek farz hai. Roza farz bhi hai aur nafil bhi, lekin Ramzan ke roza Allah Ta’ala ne Musalmano par farz kiya hai.

Huzoor ﷺ ne farmaya hai ke roza gunahon se bachne ke liye ek dhal ka kaam karta hai. Bas isko dhal banao.

Roza daar na buri baat kare, na cheekhe, na chillaye. Aur agar koi aur isko bura kahe ya isse lade, to yeh keh kar alag ho jaaye:

“Main to roza se hoon, mere liye yeh mumkin nahin ki in bure kaamon mein mashghool hoon.”

Roza Kholne Ki Dua

Roza Kholne Ki Dua

Roza Kholne Ki Dua In Hindi

“Allahumma inni laka sumtu wa bika aamantu wa ‘alayka tawakkaltu wa ‘ala rizq-ika aftartu.”

Roza Kholne Ki Dua In Hindi

अल्लाहुम्मा इन्नी लका सुम्तु व बिका आमंतु व अलैका तवक्कल्तु व अला रिज़्क़िका अफ्तरतु.

Translation: “ऐ अल्लाह! तेरे लिए मैंने रोज़ा रखा और तेरे ही कहने पर रोज़ा खोला”.

Roza Kholne Ki Dua In English

O Allah! I fasted for you and i believe in you [and i put my trust in you] and i break my fast with your sustenance. (Translation)


Roza Ka Asal Maqsad

Roza sirf pet ka roza nahin hai, balki aankh ka bhi roza hai, kaan ka bhi roza hai, zuban ka bhi roza hai, aur haath paon ka bhi roza hai.

Woh roza yeh hai ke aankh woh na dekhe, kaan woh na sune, zuban woh na bole, aur aaza woh kaam na karein jo Allah Ta’ala ko na pasand ho aur jinse usne mana farmaya hai.

See also  सफर की दुआ | Safar Ki Dua In Hindi

Roze Ki Fazilat

Jis ne iman ke sath aour sawab ki niyat se ramzan ke roze rakhe us ke pichle tamam gunah maf kardiye jate hai.

Aakhri Baat

Roza sirf ek bhookh-pyaas ka imtihaan nahi, balki ek ibadat hai jo insan ko gunahon se door karti hai. Sahi tarike se roza rakhne ke liye sirf iftar aur sehri par dhyan dena kaafi nahi, balki zuban, aankh, aur aamaal ka bhi roza rakna zaroori hai.

Ramzan ke mahine mein Roza Kholne Ki Dua padhkar iftar karein aur apne roza ko mukammal aur maqbool banayein.

FAQ

Roza kyun rakha jata hai ?

Roza rakhne se taqawah paida hota hai aour taqwah Allah ko pasand hai.

Roza kiya hai aour kyun rakha jata hai ?

Roza rakhna ibadat hai. Roza Allah ki raza ke liye rakha jata hai jisme ham saher se lekar magrib ke waqt tak Bina kuch khaye aour bina kuch piye Allah ki Raza mandi ke liye bhooka rehte hain ise roza kehte hain.

Roza kise nahi rakhna chahiya.

Roza us Shaqs ko nahi rakhna chahiye jo bahot ziyada beemar Ho laikin us roze ko badme theek huwe bad khaza roza rakh lena chahiye .

Roza kholne ki dua kab padhna chahiye?

Roza kholne ka sahi waqt jab ghroob e aftab pura ho tab kholna chahiye.

Yeh Bhi Padhein

Safar Ki Dua | Safar Dua In Hindi

Roza Rakhne Ki Dua | Sehri Ki Dua Aur Niyat

Taraweeh Ki Dua | तरावीह की दुआ

Ghar se nikalne ki dua| Dua for leaving home

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top