Nazar Ki Dua aur iski ahmiyat ka zikar Hadees Shareef mein aata hai, jismein kaha gaya hai ke nazar-e-bad ka lagna haq hai. Ahadees-e-mubarakah mein nazar-e-bad ki taasir aur uski haqeeqat ke mukhtalif pehluon ka zikr milta hai. Hum iski haqeeqat ko samajhne ke liye chand ahadees ka jaiza lete hain.
Hazrat Abu Huraira (RA) se marwi hai ke Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ke nazar-e-bad ka lagna haq hai. Nazar-e-bad kitna sangeen asar rakhti hai, is ka andaza kuch riwayaton se hota hai. Abdul Rahman bin Jaber apne walid se riwayat karte hain ke Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya, ‘Meri ummat mein aksar log jo Allah ki kitab, uske faislon, aur uski taqdeer ke bawajood wafat payenge, woh nazar-e-bad ki wajah se honge.
Nazar Ki Dua
Nazar Utarne Ki Dua In English | Evil Eye Dua
The Prophet (ﷺ) used to seek Refuge with Allah for Al-Hasan and Al-Husain and say: "Your forefather (i.e. Abraham) used to seek Refuge with Allah for Ishmael and Isaac by reciting the following: 'O Allah! I seek Refuge with Your Perfect Words from every devil and from poisonous pests and from every evil, harmful, envious eye.'"
[Sahih al-Bukhari 3371]
Hifazat Ki Dua | Protection Dua
Is dua ki bahut ahmiyat aur fazilat hai. Iske padhne se insan Allah ki aman mein rehta hai. Hadees mein aata hai ke jo shakhs yeh dua subah aur sham teen-teen martaba padhega, usay koi cheez takleef nahi de sakti.