Namaz e janazah ek namaz hai jo bagair rakat wo sujood ke mayyat ke liye padhi jati hai aour is ka tareeqa bhi dusri namazon se mukhtalif hota hai.
Namaz e Janaza Ka Tareeqa
1. Sab se pahle namaz e janazah ki niyyat karle. imam sahab jab takbeer(Allakuakbar) kahe ge to hath bandh kar neeche diye huwi sana padhna hai yad rahe ye sana alag hai aour jo sana hum namaz me padhte hai woh alag hai.
2. Phir imam sahab dusri takbeer (Allahuakbar) kahe ge to darood e ibraheem padhna hai jo niche diya huwa hai.
3. Phir imam sahab teesri takbeer kahe ge to is dua ko padhna hai neehe diya huwi hai.
4. Phir imam sahab takbeer kahe ge to salam ko pherlena hai.
Namaz e janaza ka tareeqa
- pahli takbeer ho gi to ye sana padhe yad rahe ki yeh jo sana hai ye namaz e janazah ki sana hai ise sirf namaz e janazah me padhi jati hai.(سُبْحَانَكَ اللَّهُمَّ وَبِحَمْدِكَ وَ تَبَاْرَكَ اسْمُكَ وَتَعَالَئ جَدُّكَ وَجَلَّ ثَناءٌكَ وَلَااِلَه غَيْرُكَ).
- dusri takbeer hogi to darood e ibraheem ko padhna hai.(اللَّهُمَّ صَلِّ عَلَى مُحَمَّدٍ وَعَلَى آلِ مُحَمَّدٍ كَمَا صَلَّيْتَ عَلَى إِبْرَاهِيمَ (وَعَلَى آلِ إِبْرَاهِيمَ إِنَّكَ حَمِيدٌ مَجِيدٌ اللَّهُمَّ بَارِكْ عَلَى مُحَمَّدٍ، وَعَلَى آلِ مُحَمَّدٍ كَمَا بَارَكْتَ عَلَى إِبْرَاهِيمَ وَعَلَى آلِ إِبْرَاهِيمَ إِنَّكَ حَمِيدٌ مَجِيد .
- teesri takbeer hogi to namaz e janazah ki dua padhna hai.(اللَّهُـمَّ اغْفِـرْ لِحَيِّـنَا وَمَيِّتِـنا وَشَـاهِدِنَا، وَغَائِبِـنا، وَصَغِيـرِنا وَكَبِيـرِنَا، وَذَكَـرِنا وَأُنْثَـانَا. اللَّهُـمَّ مَنْ أَحْيَيْـتَهُ مِنّا فَأَحْيِـهِ عَلى الإِسْلاَم، وَمَنْ تَوَفَّـيْتَهُ مِنّا فَتَوَفَّـهُ عَلى الإِيـمَان، اللَّهُـمَّ لا تَحْـرِمْنـا أَجْـرَه، وَلا تُضِـلَّنا بَعْـدَه ).
- chahoti takbeer hogi to salam ko pherlena hai.