Aurangzeb Aalamgir |Aurangzeb history in hindi | who killed aurangzeb

Aurangzeb image

Aurangzeb history hindi?

Aurangzeb ka pura naam Abdul Muzaffar Mohammed Mohiuddin Aurangzeb Bahadur Shah hai. In ki paidaish Gujarat ke dohad mein 1638 ko hui.

Hindustan ki tarikh ki bahut si kitabon mein Aurangzeb Alamgir ki shakhsiyat ke kafi kamiyan aur galtiyan ka jikr kiya jata hai lekin jyadatar Tareeq ki kitabon mein Aurangzeb ki shakhsiyat ko galat aur Tod marod kar bataya gaya hai aaj ham aapko batate Hain ki Aurangzeb Alamgir ki shakhsiyat aour unki zindagi ke bare me

Aurangzeb ki talim bahut hi bade ustad ki nigrani mein Hui Jin ustadon ne unhe ilm ka rasta Diya unmen Maulana Abdul Latif Sultanpur, Maulana Hashim Gilani Allama sadullah, Mulla Mohan Bihari Maulana, Syed Mohammed Sheikh Ahmed Sharif ke Rahane wale the Shahjahan ke Darbar se alag hue to Aurangzeb ki talim ki khidmat inke.

Aurangzeb Hafiz Quran bhi the, taimuri badshahon mein yah Sadat sirf inhin ko hasil thi tajjub ki baat yah hai ki Aurangzeb ne Kuran 40 sal mein hifz kar liya tha.

Aurangzeb 5th June 1659 ko hindustan ka badsha bane, Hindustan ki tareeq mein pahla aisa badshah guzra jisne Hindustan per 50 years hukumat ki Kabul se lekar Bangal tak aur Tibet se lekar Mysore tak Aurangzeb ki hukumat thi Hindustan ki tarikh mein kisi bhi Badshah ne itne bade zamin per hukumat nahin ki .

Aurangzeb kingdom

Aurangzeb empire

Aurangzeb ki hukumat main Hindustan kai bahut tarkki hui Hindustan ko Sone ki chidiya ka lakhab isliye Diya jata hai ke Hindustan ki tijarat mein sabse jyada izafa Aurangzeb ki hukumat mein hua.itni badi saltanat ka badshah hone ke bad bhi Aurangzeb sadi aour mamoli zindagi basar karte the .aurangzeb ne apni zindagi ke aakhri din khuldabad me guzare.

Aurangzeb ko kisne mara?

1760 ki sardiyon ka waqt tha Maharashtra ke khuldabad ke shahar mein safed Kafan mein lipati hui ek Lash Chand Mughal amiron aur sipahiyon ke sath burhanuddin auliya ki dargah ki taraf badh rahi thi yeh janajza us shakhs ka tha jisne Insani ki tareeq mein pahli bar Hindustan ka jyadatar hissa ek hukumat ke saye tale samet kar rakh Diya tha janaze ki rasm mukhtesar si thi aur Kafan bhi sada tha yah janaza us waqt ke sabse maldar shakhs ka tha jise Aaj duniya Aurangzeb Alamgir ke naam se janti hai.

Aurangzeb tomb

humne aapko bataya Aurangzeb Alamgir itna takatvar Badshah tha jisne Hindustan ke bahut se saltnaton ka safaya Kiya Aurangzeb ki jyadatar jindagi Jung mein gujari Aurangzeb Alamgir ko Jung mein itni maharat hasil thi ke unke aage koi bhi Raja apna Loha nahin manva saka Aurangzeb Alamgir ki maut ke bahut se jhuthe vakhiaat tarikh mein milte Hain Lekin ham aapko asal sacchai ki taraf lekar chalte Hain Aurangzeb Alamgir 1760 mein Burhanpur ke andar intkal kar Gaye.

Aap delhi ke safr ki taraf rawana the safar ke daouran hi aapka bimari ki wajah se intekhal hogaya . Jis jagah aapka inteqal huwa woh jaga Burhanpur hai jo aaj MP state ka district hai . Burhanpur se khafile ko wapas khuldabad laya gaya

Aurangzeb Alamgir ki vasiyat thi ke unke marne ke bad unhen khuldabad ki sar jameen mein dafan kiya jaaye aur aapki yah bhi vasiyat thi ki aapki Mazar sadi banai jaaye. Aur yah bhi Hukum tha ki unki khabar (grave)banane ke liye hukumat ke khajane se koi bhi Paisa na liya jaaye Aurangzeb ne kuchh paise apni jindagi mein hi topi bunkar jama kar liye the aur unhin paison se aapki Mazar banai gai. (Refrence,maasir e aalamgir),ahkam e aalamgir,aadab e aalamgir.

Aurangzeb Alamgir ki zindagi ko ham kuch safon mein ya jumlon mein bayan nahin kar sakte yah ek Aisa ajeem Badshah guzra hai jisne Hindustan ki tarikh ko badal kar rakh Diya tha Aurangzeb Alamgir ne Hindustan mein aman o Aman ko kayam Kiya tijarat ko badhaya

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top